Total Pageviews

Friday 24 August 2012

Chaand


Chaand

Uss soney key haaley mein
Aisi udaasi hai
Chaand raatoun ka chaand nahi hai
Pehley Adam ney jisey dekha tha

Insaan ki
Kai sadiyoun ki
Rat jagi ney
Usey bhar diya hai
Qadeem giryah zaari sey

Us ki aur dekho
Woh tumhara aaina hai


چاند

اس سونے کے حالے میں
ایسی اداسی ہے
چاند راتوں کا چاند نہیں ہے
پہلے آدم نے جسے دیکھا تھا

انسان کی
کئی صدیوں کی
رت جگی نے
اسے بھر دیا ہے
قدیم گریہ زاری سے

اس کی اور دیکھو
وہ تمہارا آئینہ ہے


The Moon
For Maria Kodama
There is such loneliness in that gold.
The moon of the nights is not the moon
Whom the first Adam saw. The long centuries
Of human vigil have filled her
With ancient lament. Look at her. She is your mirror.

Translated by Willis Barnstone

Friday 17 August 2012

Khudkushi



Khudkushi

Raat key khala mein
Eik taara bhi na bachey ga
Mein mar jaunga aur,
Merey saath
Yeh na qabil-e-bardasth qainaat
Ka bojh bhi
Mein mita dunga sab imaartein
Sab tamgey
Sab jaghein
Sab chehrey

Mein mita dunga
Maazi ka sab sarmaya
Mein banaunga
Tareekh ki gard, gard ki gard

Ab
Mein dekh raha hoon
Aakhri baar
Doobtey sooraj ka manzar
Aakhri parindey ko
Sun raha hoon

Mein virsey mein kisi ko bhi
Khaalipan nahi dey raha


خودکشی

رات کے خلا میں
ایک تارہ بھی نہ بچے گا
میں مر جاونگا اور،
میرے ساتھ
یہ ناقابل برداشت کائنات
کا بوجھ بھی
میں مٹا دونگا سب عمارتیں
سب تمغے
سب جگہیں
سب چہرے

میں مٹا دونگا
ماضی کا سب سرمایہ
میں بناونگا
تاریخ کی گرد ، گرد کی گرد

 اب
میں دیکھ رہا ہوں
آخری بار
ڈوبتے سورج کا منظر
آخری پرندے کو
 سن رہا ہوں

میں ورثے میں کسی کو بھی
خالی پن نہیں دے رہا



THE SUICIDE
By Jorge Luis Borges

Not a single star will be left in the night.
The night will not be left.
I will die and, with me,
the weight of the intolerable universe.
I shall erase the pyramids, the medallions,
the continents and faces.
I shall erase the accumulated past.
I shall make dust of history, dust of dust.
Now I am looking on the final sunset.
I am hearing the last bird.
I bequeath nothingness to no one.

Translated from Spanish by Alastair Reid

Wednesday 15 August 2012

Azaadi


Azaadi

Jaise
Qaid mein
Zanjeer ki jhankaar

Jaise
Jism key curfew mein
Azaad dhadkanein

Jaise
Cement ki sakth daraaroun mein
Khila hua phool

Jaise
Jail ki siyah deewaroun pey
Qaidi ki roshan ghazal

Jaise
Daar-0-rasn se pehley ghoonjtey
Bey-fikr nagmey

Jaise
Sarhadein paar karti
Pagal hawa

Jaise
Tez aandhi mein
Phool se lipti Tittli

Jaise
Bandh kagaz mein
Koi azaad nazm

Monday 13 August 2012

Upaj


اپج
(ایک کشمیری بچے کا قتل)


کل  وہ بہت تھک گیا تھا

گہری نیند آئی تھی اسے

جگاۓ نہ جگا


ہم اسے دبے پاؤں

کاندھے کاندھے

ہاتھوں ہاتھوں

زمین میں بو آئے ہیں آج –


اسکی ماں چاہتی تھی
وہ پھولے  پھلے!


Upaj
(Ek Kashmiri bachey ka qatl)

Kal woh buhut thak gaya tha
Gehri neend aai thi usey
Jagaey na jaga

Hum usey dabey paoun
Kandhey kandhey
Hathoun hathoun
Zameen mein bou aaye hain aaj –

Uski Maa chahti thi
Who phooley phaley!